Muestra

Escúchalo ahora gratis con tu suscripción a Audible

Después de los 30 días, 9,99 €/mes. Cancela cuando quieras
Disfruta de forma ilimitada de este título y de una colección con 90.000 más.
Escucha cuando y donde quieras, incluso sin conexión
Sin compromiso. Cancela gratis cuando quieras.

Mahabharat ke 25 Aanjaan Patra

De: Peeyush Singh
Prueba gratis durante 30 días

Después de los 30 días, 9,99 €/mes. Cancela cuando quieras.

  • Resumen

  • Mahabharat ek aisa mahakavya hai jiske har adhyay me ek mahakavya samaya hai. Ye insani swarth, dwesh, prem, jalan, daya aur veerta jaisi har bhawana se seencha hua vat vriksh hai. Isme har vo ras hai, rahasya hai jo iske pathak ko khud se bandhe rakhta hai. Ye bas ek kahani nahi hai ye samay ke kapaal par likha ek dastawez hai. Ek aaina hai jisme ham khud ko dekh sakte hain ki ham dharm ke pale me khade hain ya adharm ke.Is mahagatha me manushya hain, devta hain, asur hain aur lagbhag is dharti par paye jaane wale har jeew ki ek bhumika hai. Ye mahakavya hame dharm, raajneeti ka aisa gyan deta hai jo aur kahin nahi milta. Isme geeta ka gyan hai jise swayam yogeshwar shri Krishna ne Arjun ke bahane ham sabko diya hai.Ye mahagatha hame jeewan jeene ke sahi tareeke sikhati hai, agar ham seekhna chahen to Is show ke jariye hamara prayas rahega ki ham mahabharat ke un sune unsune patron se aapko mila saken jinke baare me ham vistar se nahi jante. Unke vyaktitva ko sahi se samjhane ke sath Mahabharat ke yudhdh me unki bhumika ko bhi samajh saken.

    ©2021 Peeyush Singh (P)2021 Peeyush Singh
    Más Menos
Episodios
  • Episode 1: Jaydrath ki katha
    Sep 10 2021

    Kya aap jante hain ki mahabharat me ek patra aisa bhi tha jise vardan tha ki jo uska sar kaat girayega khud uska bhi sar visfot se fat jaayega aur kiski wajah se mahaveer hote huye bhi Abhimanyu ko veergati ko prapt hona pada? Is episode me aap sunenge Jaydrath ke bare me aisi hi rochak ansuni baten.

    Más Menos
    15 mins
  • Episode 2: Barbreek ki katha
    Oct 14 2021
    Kya aapne mahabharat ki katha me us veer yodhdha ka naam suna hai jisne apne kate huye sar ke sath mahabharat ke yudhdh ko iski samapti tak dekha? Ek aisa veer jiski mata ne hamesha yahi sikhaya ki jo har raha ho uska sath dena aur agar shri Krishn maya jal na bunte to aaj isi veer ki wajah se mahabharat ki katha kuch alag hoti. Is episode me ham usi veer Barbreek ki katha sunenge
    Más Menos
    15 mins
  • Episode 3: Shalya ki katha
    Oct 14 2021
    Kya aap jante hain ki mahabharat ke yudhdh ke antim din kauravon ki sena ke senaptai kaun the? Kya aap jante hain ki Karn ke sarthi kaun the aur Karn ke sarthi rahte huye bhi ve use hatotsahit kyon kar rahe the? Inhi sawalon ke jawab ke liye aap suniye is episode ko aur janiye Raja Shalya ke bare me
    Más Menos
    15 mins

Lo que los oyentes dicen sobre Mahabharat ke 25 Aanjaan Patra

Valoración media de los usuarios. Solo los usuarios que hayan escuchado el título pueden escribir reseñas.

Reseñas - Selecciona las pestañas a continuación para cambiar el origen de las reseñas.