Escúchalo ahora gratis con tu suscripción a Audible

Después de los 30 días, 9,99 €/mes. Cancela cuando quieras
Disfruta de forma ilimitada de este título y de una colección con 90.000 más.
Escucha cuando y donde quieras, incluso sin conexión
Sin compromiso. Cancela gratis cuando quieras.
Diseño de la portada del título Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 14

Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 14

De: Delhi Press
Narrado por: Rishi Upadhyay, Kanupriya Rishimum
Prueba gratis durante 30 días

Después de los 30 días, 9,99 €/mes. Cancela cuando quieras.

  • Resumen

  • Audible prastut karta hai Romance and Relationship Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Prem ke kayi rang aapko milenge inn kahaniyon mein — junoon, vaasna, sneh, lagaav, jalan aur chaahat. Jawani ke josh mein dhadakta naya pyar premiyon ko kis hadd tak le jaa sakta hai? Kayi saal se saath rehte huye ek doosre ke liye aakarshan mehsoos karna mumkin hai? Kisi teesre insaan ke aane se pyar ki dor kya kamzor padne lagti hai? Sachche pyar aur ek pal ki vaasna mein antar kaise samajh sakte hain? Sadharan logon ki asadharan prem kahaniyon ke saath kabhi aapka dil bhi pehle pyar ke ehsaas se dhadakne lagega, aur kabhi toote huye dil ke baare mein soch kar koi hasrat yaad aayegi. Chaahat, samaajik bandhan aur prem ki vibhinn paribhashaon ki iss duniya mein aapko kabhi jaani-pehchaani yaadein dikhengi aur kabhi kisi bhooli prem kahani ki kasak mil jayegi.
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    Más Menos
Episodios
  • दिशाएं और भी हैं
    Oct 6 2022
    Namita ghar par akeli thi, usse aisa laga jaise bahar koi hai, fir sannata ho gaya, usne vehem samjha par jaise hi kitchen mein pani peene gayi toh ek nakabkosh ne uska muh daba liya, usne puri taakat lagake use pairon ke beech mara aur uski pakad se choot kar bhaagi, darwaza band kiya aur police ko phone kiya. Police turant pohchi magar wo vyakti khidki se bhaag gaya. Agle din akhbar mein chapa ki ladki ka balatkar hua isne uski zindagi nasht kardi, uski sagai toot gayi aur uske mata pita kehne lage ki usne police ko bula kar theek nahi kiya. Namita ne tey kiya ki use sahas ke saath power bhi chahiye. Usne IAS ki taiyari ki aur rajpatrit adhikari ban gayi. Ek din train mein use apne purana mangetar Pranjal mila, usne Namita se maafi mangi. Baad mein uske mata pita Namita ke ghar aaye aur unhone apne kiye par unse maafi maangi. Namita pighal gayi aur shaadi ke liye taiyar ho gayi.
    Más Menos
    20 mins
  • दोराहा (भाग)
    Oct 6 2022
    Pratik aur Aayushi ne saath mein MBA kiya, dono ek doosre se pyaar karte the aur unhone tey kiya ki wo saath rahenge. Jab Pratik ne usse kaha ki ek affidavit banwa lete hain ki tum kabhi mere upar shaadi ya bache ka dabav nahi dalogi toh Aayushi ke man ko dhakka laga. Usne mana kiya toh Pratik ne use baahon mein bhar liya. Wo kiraye ke flat mein rehne lage, Aayushi ghar ka sara kharcha uthati aur Pratik bahane banata rehta. Aayushi ko lagne laga ki Pratik uska fayda utha raha hai, dono ke beech manmutav badhne lage. Ayushi ki saheli ne use bataya ki wo naukri chodne wala hai toh Ayushi ka matha thanka aur Pratik baat baat par usse jhalane laga. Isi dauran Prateek ek saptah ki chutti lekar ghar chala gaya, Aayushi bhi mummy papa ke paas chali gayi. Ghar ka pyar paa ke wo Pratik ko bhul gayi, usne Pratik se breakup kar liya.
    Más Menos
    35 mins
  • त्रिकोण का चौथा कोण- भाग 1
    Oct 6 2022
    College mein Mohit ki mulakat Nirupama se hui, dono ek hi building mein rehte the aur pyaar karne lage tabhi Mohit ke pita ne uski shaadi Dipti se karadi. Mohit ne Nirupama se kanni kaat li magar wo sadma bardasht na kar pai, 2 saal baad uski dimagi halat mein kuch sudhar aaya toh wo college jaane lagi, lekin usne shaadi na karne ki thaan li thi. Uski choti behen ki shaadi ho gayi aur uske mata pita dusri jagah shift ho gaye magar prem diwani Nirupama wahi rahi. Mohit aur Nirupama ki fir nikat ta badne lagi, wo use patni ka darja toh nahi de paya magar uske paas jata raha. Ek din achanak Nirupama ke pita ki heart attack se maut ho gayi, ab ghar mein maa beti reh gayi toh Mohit khule taur par unke ghar aane jaane laga. Mohit ne patni ko samjhaya ki tab bhi usne paristhithi ke mutabik sahi kaam kiya tha aur ab bhi wahi kar raha tha. Mohit 50 paar kar chukka tha aur ab uske bete ne pita ke aage ye shart rakhi ki ya toh wo Nirupama ke saath apne sambandh khatam karle nahi toh wo apni maa ko lekar alag ho jaega. Ab Mohit ko kuch nahi sujh raha tha, tabhi achanak uska dil shant ho gaya aur ab use koi jawab nahi dena pada.
    Más Menos
    45 mins

Resumen del editor

Audible prastut karta hai Romance and Relationship Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Prem ke kayi rang aapko milenge inn kahaniyon mein — junoon, vaasna, sneh, lagaav, jalan aur chaahat. Jawani ke josh mein dhadakta naya pyar premiyon ko kis hadd tak le jaa sakta hai? Kayi saal se saath rehte huye ek doosre ke liye aakarshan mehsoos karna mumkin hai? Kisi teesre insaan ke aane se pyar ki dor kya kamzor padne lagti hai? Sachche pyar aur ek pal ki vaasna mein antar kaise samajh sakte hain? Sadharan logon ki asadharan prem kahaniyon ke saath kabhi aapka dil bhi pehle pyar ke ehsaas se dhadakne lagega, aur kabhi toote huye dil ke baare mein soch kar koi hasrat yaad aayegi. Chaahat, samaajik bandhan aur prem ki vibhinn paribhashaon ki iss duniya mein aapko kabhi jaani-pehchaani yaadein dikhengi aur kabhi kisi bhooli prem kahani ki kasak mil jayegi.
©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan

Lo que los oyentes dicen sobre Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 14

Valoración media de los usuarios. Solo los usuarios que hayan escuchado el título pueden escribir reseñas.

Reseñas - Selecciona las pestañas a continuación para cambiar el origen de las reseñas.