Is pustak mein lekhak ne kisi bhi team mein shamil vyaktiyon ko leaders banane ke liye viksit karne ki tareekein batayi hai. Is prakriya mein sabse mahatvapoorn bhag us team ke leader hi nibha sakte hai. Leaderon ko aakarshit karne-wala mahaul tayar karna kisi bhi sangathan ke liye bahut mahatvapoorn hai aur yah us sangathan ke leader ka kaam hai. Jo log hamari yogyataon mein vishwas dikhate hai, ve ek aisa mahaul bana dete hai, jisme hamare liye safal hona zyada aasan ho jaata hai. Kshamtavan leaderon ko pehchan-na safal leaderon ki prathmik zimmedari hai. Yah hamesha ek asaan kaam nahi hai, lekin iske bina koi bhi sangathan safal nahi ho sakta hai. Har safal sangathan mein karmchari ko unke dwara kiye gaye kaam ke badle mein sirf tankhwa nahi milti hai, balki unke boss se pariposhan bhi milta hai, aur yah poshan mein logon ke jeevan ko badalne ki shakti hoti hai. Is poshan se sabka labh hota hai, aur jab logon ko poshan milta hai, ve zyada acche parinam dete hai. Poshan dene ki prakriya ki hi tarah leaderon ko tayar karne ki prakriya ko bhi nirantar jaari rakhna hota hai, aur har sambhaavit leader ke tayari uski avashyaktaon ke anusar honi chahiye. Leaderon ke vikas ke liye samay, dhyan aur samarpan ki zaroorat hoti hai, aur isliye leaderon ko vikasit karne-wale ek samay mein bahut kam logon ke saath hi kaam kar sakta hai.